Writing Log jeet rahe the,main har rahi thi log jeet rhe Hai ,main har rhi hun, kyon andhero se tab se aaj tak bhag rahi hun , ujala hota kya hai pata nahin par Andhere se bhi anjan akeli bhag rahi hu, ajibogarib jindagi ji hai main 25 Salon mein Kabhi khud se Kabhi dusron se bhag rahi hun , Nahin Nahin dur bhag rahi hu... ek time tha jab 4th class mein mene kathak karna shuru kiya tha aur bahut acche se school ke saath class 10th tak bharpur jiya tha, achanak pata nahin kahan se Kathak ne degree ka rup le liya , papa kahate the agar kar rahi ho to degree honi chahie ,guru ji kah rahe the exam Nahin dena hai ek baat to batau Nahin bhul gai Jo mere purane Guruji thi jinse main katthak sikhi thi " Anurag Guruji " vo hamen Yun hi Akela chhod Kar chali gai thi FIR ham ek naye Guruji ke paas bhej diya, jaise ki bacha hua Saman Jo hamare Kisi kam ka Nahin Hai use Kisi garib ko de dena but is waqt garib bhi mein thi aur bacha hua Saman bhi main hamesha credit Lena hamesha successful Hona aur hamesha padhaai mein Avval hona yah sabhi chahte hai na ham log... Pur mere andar ki Jo aag hai jo Bina lamp ki Raat Hai bahut tadpati Hai mujhe... unbiased dance, my dance , Kathak. Good morning. Begin your day with #freshthoughts. #iamgrateful #YourQuoteAndMine Collaborating with YourQuote Baba I can feel my dance through this writing. Third class thi ya fourth exactly yaad nhi.