Nojoto: Largest Storytelling Platform

Logo ka badalna suna tha maine Logo ka badalna

Logo ka badalna suna tha maine 

Logo ka badalna suna tha maine,
Khudko badalte dekha hai. 
Gungunate hue dil ko khamosh hote hue dekha hai,
Labo ki pyaari haasi ke peeche rote hue dil ko dekha hai.
Logo ka badalna suna tha maine,
Khudko badalte dekha hai .
Na thamne wale ko kone mei baitha dekha hai,
Bheed mei rehne wale ko hazzoron mei akela dekha hai.
Logo ka badalna suna tha maine ,
Khudko badalte dekha hai .
Rishto ko tutte dekha hai khudko bikharte dekha hai,
Apno ko paraya hote hue dekha hai .
Logo ka badalna suna tha maine ,
Khudko badalte dekha hai.
Vishwaas tutte dekha hai waado ko peeche chutte dekha hai,
ek  masoom se baache ko thoda samajhdar insaan bante hue dekha hai.
Logo ka badalna suna tha maine,
Khudko badalte dekha hai .
  
                                 -Sonal Tulsyan

©Sonal Tulsyan shades of life