yuun toh betakallufi se mera naata nahi tha par taasub-e -sabr waste deedaar-e-yaar mujhe bhaata nahi tha kahin koi aisa tilsm bhi hoga jisse farhat-e-dil ka tasawwur unhe mehsoos hoga woh kya yaasmeen-e-nujoom hai teri jhalak mein kahkashaaon ki dhoom hai baam-e-falak mein woh pehli nazar ki fiza har muqaam pe bhaari yaar ki yaadon mein deedon mein ashq taari koi ajeeb khushnudi hai har ada-e-yaari deegar masroofiaat mein ab hamaari umeedwaari ab kahaan sarghoshion mein maujoodgi tumhaari tumhe dilse nikaalne ka kaam hai jaari... kab tak bewaqoof banaun is dil ko ab isne bhi seekhli hoshiyaari.... #mystic_poetry