Mai tooti hui wah shakh hu Jise tootne ka nhi Apno se bichadne ka gham hai Jo parindon ki chahchhat mein gungunati thi Jo phoolon ki amad pe jhoom uthti Wo parindon ka ashiyan jo khud ko meri aghosh mein mahfooz samjhte the Wo titliyon ka mandrana Woh bhanwron ka gungunana Mjhe bahot yad ata hai Bita hua wo apna zamana Mai tooti hui wah shakh hu jise tootne ka nhi apno se bichadne ka gham hai Jo arsh se aj farsh pe hai Jise khud pe gurur tha Unchi darakht ki shan hai Aj bezuban hai Aftab ki tapish s nidhal hu Dhool aor gard me padi bejan hu Badhayi ka saman hu Nakkashi ka bazar hu Hunarmand ki adakari ka inam hai Ha meain tooti hui shakh hu Jise tootne ka nhiapno se bichadne ka gham hai #mai tooti woh shakh hu........