● main ghantoan intizaar kiya karti thii-us train ka jo door se mujhe aankh michauli karti nazar aati thìi- uska chhuk chhuk karna mujhe bahot achchha lagta thaa.. meri yaadoan ke ratjagoan mein dhundhla dhundhla sa kuchh aur bhii hai..shayad woh uthta hua dhwaan hai..miloan ki chimniyoan se uthta hua dhwaan..shayad woh shoar hai machinoan ka..lekin sachchaai ke ghup andhkaar mein har drishya bikhar chuka hai..sannate ki banjar zameen par zakhmoan ki fasal ke siwa kuchh bhii nahin..lal Imli ki darakti deewaaroan ki tarah hii main bhii sisak rahi hoon..kisi masiha ke intizaar mein.. samay ki saleeb par dard se karahti huii..lekin phir bhii main zinda hoon abhii.. ©Shinawar Kyunki main zinda hoon abhi..