◆Poetry By: Sunil_Dhauni ◆Title: Love In Chemistry Na Ye Chemistry Hoti ,Na Mein Student Hota, Na Ye Lab Hoti, Na Ye Accident Hota, Abhi Practical Mein Nazar Aayi Ek Ladki, Test Tube Jaisi sundar Thi Naak jiski, Baton Mein Uski Glucose Ki Mithaas thi, Sanson Mein Ester Ki Khushbu Bhi Saath thi, Aankhon Se Jhalakta tha Kuch Is Tarah Ka Pyaar, Bin Piye Hi Ho Jata Tha Alcohol Ka Khumaar, Benzene Sa Hota Tha Uski Presence Ka Ehsaas, Jese Andhere Mein Hota Radium Ka Aabhaas, Nazrein Mili, Reaction Hua, Kuch Is Tarah Love Ka Production Hua, Lagne Lage UsKe Ghar Ke Chakkar Aise, Nucleus Ke Chaaron Taraf Electron Ho Jaise, Us Din Mere Test Ka Confirmation Hua, Jab Uske Daddy Se Mera Introduction Hua, Sunkar Humari Baat Woh Aise Uchal Pade, Ignesium Tube Mein Jaise Sodium Bhadak Uthe, Woh Bole, Hosh Mein Aao, Pehchano Apni Aukaat, Iron Mil Nahin Sakta Kabhi Gold Ke Sath, Ye sab Sunkar Tuta Hamare Armanon Bhara Beaker, Aur Mein Chup Raha Benzaldehyde Ka Kadwa Ghoont Pikar, Ab Uski Yaadon Ke Siwa mera Kaam Chalta Na tha, Aur Lab Mein Hamare Dil Ke Siva Kuch Aur Jalta Na tha, Zindagi Ho Gayi Unsaturated Hydrocarbon Ki Tarah, Aur ab Hum Phirte Hain Awara Hydrogen Ki Tarah......!! #love_in_chemistry #Truelines #Inspiration #life #feelings #nojoto_world #nojoto_india #ehsaas