Abke hum bichade toh shayad khwabo me hi mile, Wese hi jese sukhe hue gulaab kitabon me mile. Kitab-Pehli mulakat isi ne karayi thi hamari, Khatm hokar bhi har lamha yaad aati he ye kahani. Woh kitaab mere saath har lamha har waqt rehti thi, Mujhe aaj bhi yaad he kis masumiyat se tum,mujhe usme likha kuch padhne ko kehti thi, Sach kahu na toh us pehli mulakat ke pehle kuch likha nahi tha usme, Lekin us mulakat ke baad,harf dar harf ghota tha tujhe,itna kho chuka tha tujhme. Woh vasl ki mulakat meri kismat me nahi thi, Mere pyaar ko sanjho us gulaab me,us kitab me rakh ijhaar ker diya phir bhi. Janta tha parindo ki tarha tumhe bhi rishto me ked hona pasand nahi tha, Toh bas ek naa hi tha tumse sunna chahta. Rishta wahi khatm ho sakta tha, Na ker deti jo tum ek martaba. Lekin tumhara kuch nahi kehna, Ha ya na nahi tumhara bas chup-chap hi rehna. Mujhe apni mohobbat per vishwaas kera gaya, Kyoki tum mujhe ese hi toh pasand ho. Hum phir kabhi mile toh nahi, Log aaj bhi saath jodte he,jese samay theher gaya ho bas wahi, Log kehte he ki me ab bhi khafa hu tumse, Lekin akhoon ne kuch aur hi kaha tha,jab akhri muddat mili thi mujhse.