Mene chikhti chillati khamoshi dekhi hai, ha mene vo maayushi dekhi hai. Mene mallikao me ruswai dekhi hai, ha mene badshaho me Rahenumai dekhi hai. Mene zuba se lafzo ki vo ranaai dekhi hai, ha mene qalam se maut ki gehraai dekhi hai. mene gribo ke chasm se amiri dekhi hai, ha mene har bhukh badi zahrili dekhi hai. mene sach ke katl ki kahaani dekhi hai, ha mene khoon ki vo ravaani dekhi hai. Mene sarhad pe sahido ki salaami dekhi hai, ha mene mazduro ki vo gulaami dekhi hai. Mene har raah me sath tanhaai dekhi hai, ha mene rahebaro ki bewafaai dekhi hai. Mene hasti khelti zindagaani dekhi hai, Ha mene vo muhobbat javedaani dekhi hai. Mene Na-balig baccho ki gumrahi dekhi hai, Ha Mene Balig Mardo ki Tanasahi Dekhi hai. Bahot to nahi muje Tajurba-e-zindagi Alif par zindagi me mene khuda ki khudai dekhi hai. Mene chikhti chillati khamoshi dekhi hai, ha mene vo maayushi dekhi hai. Mene mallikao me ruswai dekhi hai, ha mene badshaho me Rahenumai dekhi hai. Mene zuba se lafzo ki vo ranaai dekhi hai, ha mene qalam se maut ki gehraai dekhi hai.