Nojoto: Largest Storytelling Platform

BACHPAN Bachpan ke din bhi kitne aache hote the n

BACHPAN 
Bachpan ke din bhi kitne aache hote the na .tab koi bhi baat kiyu na ho humko usse koi matlab nhi.
 bas apni ek alag si masti wale duniya mein raat din khoye rehte the .choti si chot pe rona .baat baat pe zid karna .chahe kaisi bhi jagah mile kapdo ki chinta na karte hue wahi pe khelna .panchi , chuhe , billi aur doggy in sab ko apna dost bannane ki koshish karna .unko chot lage toh khud ro padna .kitna masoom tha hamara bachpan .na koi chinta aur na koi phikar .
thodi si daant pe ro padna aur din bhar muh phula ke baithna aur tab tak na maanna jab tak ki koi pyar se na manaye .bachpan ke din bhi kitne aache hua karte the .

kab hum bade hogaye yeh pata hi nhi chala. pehele choti choti chot pe rote the aab dil tutne se bhi khud sambhal jaate hain .pehele sabke samne ro padte the aur aab koshish yahi hoti hai ki koi hamare aasu na dekhe .life ka itna tenshion aur padhaei ka toh pucho hi mat ..kash woh dinphir se laut aapate .kash mein waqt ko piche le pati .bachpan mein yahi souchti thi ki kab badi hongi aur aab yahi souchti hu ki  kash unn dino ko phir se jeene ko  mil paate .
baachpan ke din bhi kitne aache hua karte the. ## bachpan 
## anamikaa ki zubani

anamikaa9204

Anamikaa

New Creator