बचपन और पिटाई Wo zara sa ghalat karna aur maan ka pitayi karna Zahri chot to humian lag jati thi par dil ki chotian to wahi seh lati Humian aik thapar bhi maar ka Wo ratoon main soo na pati thi Khaloona pasand ay jaya koi jo ho khatarnak To dant ka wahain chup karadati thi Phr ansuu diakh ka maan us sa bhi acha khilona dila dati thi Us ki petayi main bhi piyar jhalakta tha aur sach pocho to bohot sakoon milta tha Dant sunta sunta kb maan sa lipat ka roo ka soo jata kahan pata chalta tha Gusa mian bhi maan apna faraz nibhati hai Ghalti karka Dant kha ka jo bacha ruth jata too maan hi haar ka pehla manati thi Wo bachpan ki dant wo bachpan ki petayi aik taraf Phr raat ko maan ka anchal main soo jana sari batain bhula dana aik taraf Ab to bara ho gaya hain shahid dant ka asar hi nae hota Maan ka anchal mian sar rakhaa chahta hain par dant hi nae hoti jo royain aur maan apna godi mian sar rakhwa da aur phr sa bachoon ki tarah sula da #BachpanAurPitaai