Nojoto: Largest Storytelling Platform

#meri maa Maa tujh jaisa is duniya me koi nahi, G

#meri maa

Maa tujh jaisa is duniya me koi nahi,
Ghar ki zimmedari bhi hai,
bacchon ka sahara bhi hai, aur pati ka aasra bhi hai,
Mamta shabd ka itihaas hai tu, 
Zindagi guzarne ka ek raaz hai tu,
Tu hai toh ghar me rounaq hai,
Tere kadmon k neeche ek jannath hai
Maa tujh jaisa is duniya me koi nahi,
Gutnon se ladkhadaate huwe najane kab pairon pe khade hogaye,
Tere mamta k chao pe pale bade, najane kab itne bade hogaye,
Kaala teeka, doodh malai aj bhi sab kuch vaisa hai,
Har jagah sirf tere bacche, tera pyaar najane kaisa hai?
Seedhe-saadhe, bhole-bhale, yahin sabse acche hain,
Kitne hi bade kyun na hojaye, aj bhi hum sirf tere bacche hain....
Roothna-manana, Hasna-rona sab tere saath accha lagta hai,
Duniya toh hai hi parayi, sab najane kyun adhoora lagta hai,
Dawa asar na kare toh nazar utaarti hai,
Maa hai janab o kahan haar maanti hai,
Muskhil raaston me bhi aasan safar sa lagta hai,
Ye meri maa ki duwaon ka asar lagta hai,
Rote huwe bacche ka paalna hai tu, 
Aankhon se sisakta huwa kinara hai tu,
Roothe huwe ko mana deti hai,
Soye huwe ko jaga deti hai,
Zindagi k aakhri lamhe dher saari Khushiyaan paayi thi,
Aakhri baar hi sahi mere rone ki awaaz par mann hi mann tu muskuraayi thi,
Sab kuch chod tu kyun zindagi hamare liye jeeti hai,
Apne sapnon ko muh mod tu kyun apni zindagi hamare liye jeeti hai,
Lafzon me baayan nahi kar paayenge tere iss pyaar ku,
Bas Duwa karenge rab se k har maa ko khuda Salamat rakhe

©ayesha Siddique #MothersDay #Maa❤ #Kuch_Bevajah_Nikle_Huye_Alfazz_ #mamta #loveformother #Dil__ki__Aawaz #motherlove #Poetry 

#MothersDay2021  Fatima Ali FᎪᎡᎻᎪN ∶ ᏚᎻᎪᏆKᎻ ✔️ Rohan davesar SingerRahulOfficial