Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tu apna hai is baat ka dum bhar raha hun Yehi soch

Tu apna hai is baat ka dum bhar raha hun
Yehi soch kar jaana teh safar kar raha  hun

Is baat ka afsoos nhi ke tujhe ishq karta hun
Issi baat ko lekar par aahein bhar raha hun 

Waqtan fawatan tum hi rahe ho saath mere
Khud farebi mein ab  guzara kar raha hun 

Hai khasiyat apni ke rehta hun pareshaan 
Ander hi ander toot kar bikhar raha hun 

Kisse sunaon apni bebassi ke kon sunta hai
Har roz pal pal! till til! marr raha hun 

Hai ehl e khana ka haal bhi kuch ajeeb sa 
Haq ki khatir har shaks se lard raha hun 

Koi toh madawa hoga Tanah mere iss dard ka 
Is tarah apne zakhmon ka ilaaj kar raha hun  #yourquoteperesentsituationshayari