Ek waqya Use Mai waqya kahu ya kahun koi hadsa Ya phir kuch na kahu Chupalu kisi Raaz sa Wahan pe chalte hue logo ne jab muh nahi khola Use marte hue dekha magar koi kuch nahi bola Phir akhir mai kyu bolu kuch bhi Behre hain kaanwale yahan jab sabhi Koi kehta hai ghalti hai ye hukmaraaon ki Koi kehta hai basti hai kaaayaron ki Isi me phir panapti hai ek bheedh kahi se Jo kehti hai nikaalo inko Abhi yahin se Koi kehta hai deshdrohi Koi kehta hai dharm virodhi Maqsad hai bas jaan lena Wajah chahe jo bhi Sir pe sawar hai khoon sabke Kaise ubal rahe hai junoon sabke Ye dekh khuda bhi sochta hoga Uska bhi Mann ab kachotta hoga Jo banaya tha woh toh rahe ab nahi Insano me hi ab insaniyat sabab nahi Qatl ko wo qatl na smjhein Lahoo ko lahoo nahi Tum dekh skte ho beshak Bas lekin kuch kaho nahi Khamoshi se dekho manzar Kahin khoon se lathpath khanjar Lekin bas chup rehna hai Ye dekh k tum sehna hai Jo Zara sa bhi zameer tumhara sawal uthayega Ye jaanlo k jaan pe tumhari bas ab Bawal aega Isilie bas waqya kaho Ya phir kehdo hadsa Ya phir chupaalo usko tum Jaise koi raaaz sa mob lynching