Hmari zindagi m phone kya aaye Masoomiat gum si ho gayi hai kahin, Mohalley m bachon ki aawazon k shor chhup sa gaya hai kahin, kabhiii to hmari khidkiyon k shishey cricket ball se toota krtey they, aaj wo ball bhii kho sii gyi hai kahin, bacche aajkl phone kii wajah se apni aankhein kamzor kr lete hain, Nanhi siii umar m nazar k chashmey lagane p khud ko majboor kr lete hain, bachpan ko bachpan ki tarah jeetey they hum, bagon,nadiyon aur pahadon ki khub sair kiya krte they hum, bada maza tha baag se aam todke khane m, Baag m malik ko kaafi dur tk apne peeche daudane m, Hum to bagair phone k roz sham m miltey they tum to phone hotey hue bhiii mahino nhi miltey, khair wo zamana kuch aur tha ye zamana kuch aur hai, wo bhi ek daur tha ye bhi ek daur hai... innocenCe and phone