My old poem- I want to dedicate this poem to nirbhaya...the brave girl Main delhi ki ladki hu, Tabhi toh main ro rahi hu, Mera koi apna astitva nahi hai, Meri koi pehchan nahi hai, Main apni marzi se kahi janahi sakti, College se late aanahi sakti, Darti hu kyuki ye delhi hai mere bhai, Jaha paraye toh chodo apne bhi banjate hai kasai, North campus se connaught place tak, Rajeev chowk se south delhi tak, Har taraf hai vehshi darindo ka saaya, Delhi ke mahaul ne nagriko ko najane hai kya sikhaya, Purano me ladki ko devi mana hai humne, Ram krishan hanuman ko janam diya hai humne, Phir kyu hota hai hamare sath aisa durachaar, Insaniyat ke naam par kyu panap raha hai bhrasthachaar, Indiagate par mombatti nahi main jal rahi hu, Main aise hi har dam har pal mar rahi hu, Kyuki main delhi ki ladki hu, isliye ro rahi hu... Kyuki main delhi ki ladki hu, isliye ro rahi hu...— % & Dedicated the brave girl nirbhya