Pakda jo tera hath to chalna sikha diya Chahat ki dhokroN me sambhalna sikha diya Mujhko duaeN dijiye ae meri janeman Aaina dekh tumhko saNwarna sikha diya Tumko sabhi sikha diye adaab e aarzu Kaise kareN kisi ki tamanna sikha diya Meri bhi zaat ka zara ehsan maniye Jo tumko mohabbat me machalna sikha diya Chahat ki siyaH raat me jo kho na jaao tum Shamma ki tarha tumko bhi jalna sikha diya Uska tumhari zaat pe ehsan hai Firoz Diniya ki tarha rang badlna sikha diya ©#DhundleNaksh #Adnanasif #DhundleNaksh #Adnanasif