Ibteda-e-Hijr Hai Rota Hai Kya Uthh Kuch Shair Likh Sota Hai Kya Gulab Ho Aur Kaante Na Mile'n Aisa Bhi Jahaan Mein Hota Hai Kya Tumhe De Diya Hai Hamesha Ki Liya Dil Yeh Kisi Aur Ka Hota Hai Kya Tumne Accha Hi Kiya Mujhe Thukrake Shayar Kisi Kaam Ka Hota Hai Kya Gulistan Mein Honge Hazaro Phool Ek Baar Dekh Le Ke Tu Bota Hai Kya Ibteda-e-Hijr Yeh Ghazal "Meer Taqi Meer Ji" ki ghazal "Ibteda-e-hijr hai rota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya" ki zameen per main kuch likhne ki koshish ki hai. #ghazal #shayari #hindi #urdu #love #longing