#OpenPoetry " FARZ KI DOR " tum farz ke liye jaan de dena hame to aishoaraam pasand hai ansuon ko bahaakar 2deep jalaa lenge desh bhakti ke naare lagaakar ankho ko suja lenge isse jyda ummed na karna ey veer putr tum hamse jaati paati me bate hai ham sab ab kon ladega unse kal desh me fir chunaaw ayega fir naya neta layega woh desh lootkar khayega apne pet ko bharta jayega tum date rehna sarhad par hame tumahra ehsaan pasanad hai tum farz ke liye jaan de dena hame aishoaraam pasanad natak parasti se kuch chitr nikaal laaye hain baant lenge apas me fareb ka kirdaar nibhaakar akhbaar bhar denge teri yaadon se ham woh sare - aam nikaal laye hain khabar daar kar denge dushman ko ghar baithe baithe ham deewaron par woh isthitehaar sajaane aaye hain eeman se khaana seekha kab ? hame woh haraam pasanad hai tum farz ke liye jaan de dena hame to aisoaraam pasanad hai hame abhi dharm ki rakhsa karni hai aabhi vyast hai ham kuch kaamon me ali , doobe , sharma, khan or chodhary bate hain ham in naamo me mehnat ki roti ab sookhi hame to chupri leni hai tax churaakar ya gareeb ka khaakar sabke hak ke leni ha desh ka yuva hai ham jo sharaab me doobe rehte hai jo bache pade hai is zillat se woh shabaa me doobre rehte hai tum na khona aan desh ki hame to ayaash pasanad hai tum farz ke liye jaan de dena hame to ye aishoaraam pasanad hai kal fir tum shaheed ho jaoge ham naam tumhara pukaarnenge din dhal jaye shaam gayi ab ham fer se wahi dohrayenge ham na farz nibhayenge na mehnat ki ham khayenge dhut rahenge choor nashe me par farz tumhe sikhayenge rangmanch se door tum rehna ham to.mehfil -e- shaam pasanad hai tum farz ke liye jaan de dena hame to aisoaraam pasanad hain -- Nitin shandilya #OpenPoetry farz ki dor