Suno maa, Naa hona tum kabhi mujhse juda. Naa tere bina ye dil kahi lagta. Naa ye zindagi apni si lagti, Naa jeene ki chahat si hoti. Naa ye duniya apni si lagti, Naa koi apna, apna sa lagta. Maa tere bina apna ye ghar mahaz makaan sa dikhta, Jisme roshni bhi jaane kyu andheron se zyada darati! Apni ye rooh, jism se juda si lagti. Khuda bhi jaane kyu rootha rootha sa lagta! Tera mujhse roothna bhi maa itna satata, maano ek pal me hi barson beet jata. Phir tera door jana to, Dil ko dharakne ka haq chin lene jaisa ho. Hamein pareshan dekh tu sab samajh jati, Bin bole itni fikr jatati. Jaan se badh kar bhi hamein chahti, Maa kya tu jaanti, Teri iss mohabbat me hamari jahaan hai basti?! Maa teri hasi me lagta ho jaise, Waqt kyu na tham sa jaye whi par. Jis pal me maa tu khush hoti, Mano duniya ki sari qeemti daulat bhi pheeki pad jaaye. Maa bhale hi tu kabhi khafa ho jati, Par mai duniya k sare alfaaz bhi jod dun to chhoti pad jaaye, Kyuki, maa teri mohabbat to shayad tu khud bhi na bayan kar paati. Dil se badh kar bhi koi jagah hoti, To maa, mai wahi tujhe mujhme tera pata batati! Jaanat se badh kar bhi koi jagah hoti, To maa wo bhi tere qadmon taley hoti! Maa wo shakhsiyat hai jiska martaba Khuda ne jannat se bhi badh kar diya, Tabhi to jannat ko maa ke qadmon taley bataya!.❤️✨ Khuda har maa ko duniya ki har khushi ataa farmaye 😇❤️ And may Allah grant every mother the highest level of Jannah 😇💫 Not just a single day, everyday is a mother's day.❣️🥰