chahta hu har dafa tujhse baat karu lekin tere chidh jane se darta hu.... tere aane ka aaj bhi besabri se intejaar hai ha main tujhse bepanah mohabbat karta hu...... tere ek muskaan pe sare jahan se lad sakta hu main... ek ishare pe teri ha khusi khusi mar sakta hu main.... teri yaado ke band kitab roz padhkar aaj bhi main aahe bharta hu..... chahta hu har dafa tujhse baat karu lekin tere chidh jane se darta hu.... tere aane ka aaj bhi besabri se intejaar hai ha main tujhse bepanah mohabbat karta hu...... sayad bhul gayi ho tum lekin aaj bhi mujhe yaad hai wo baate... har subah ki suruwaat tujhse aur hoti thi khatam tujhse har raate..... aaj bhi ek jhalak paane ko teri har roz main kai dafa marta hu.... chahta hu har dafa tujhse baat karu lekin tere chidh jane se darta hu.... tere aane ka aaj bhi besabri se intejaar hai ha main tujhse bepanah mohabbat karta hu...... sayad meri mohabbat na samjhi tum aur ho gayi juda mujhse.... sahi jawab taiyar rakhna ager kare sawal kabhi khuda tujhse.... aaj bhi hu deewana tera aur roj teri tanhaiyo se ladta hu..... chahta hu har dafa tujhse baat karu lekin tere chidh jane se darta hu.... tere aane ka aaj bhi besabri se intejaar hai ha main tujhse bepanah mohabbat karta hu...... #Scar