Navraata Navraata Navraata. Ayi navraate ki raat. Bhakto keliye saugaat. Inn dino tum karna sirf bhakti ki baat. Bhajan gao mata ko manao. Karna garbe ki suruwaat. Ganpati ke saath. Garba dandiya bhakti ka prateek. Gujrat ki hai ye reet. Isse mata ko hai preet. Ma meri pyaari. Wo hai nyaari. Wo sher sawari. Unki ye dunia saari. Wo mayya hamari. Daya ki sagar. Mamta ki mahasagar. Wo jagat kalyanie Ambey maharani. Wo parashakti wo 9durga. Manushya ki pranshakti. Hamari bhakti. Navraate ki hui suruwaat. Hamaare liye jashn ki raat. Ab sirf bhakti mai bitegi raat. Ab nhi koi doosri baat. Bhakti may dooba hai sansaar. Moorti laao maya ko sajaao. Ki hai itni tyaari. To karo ab unki khatirdhaari. Wo hamare kast hurlegi mooh manga vur degi. Hur pal wo khyaal hai karti ab hamari baari hai. Jun jun mai wo hai kun kun mai wo hai.9 durga ka karo paath. Mata ka ho raha agmaan aaj. Bhakto keliye kalyaani. Dusto keliye paapnashini. Chhandd mund sangharini. Mahisasurmardhini. Jai jai jai jagat janani kalyan karni. #iitkirdaar