Zindagi me wo sangeet ki tarah hi to hai. Aasaan nahi hai use samjhna , magar han jo samjh gye to maano usse jada suljha kuch hai hi nahi kahin. Udaasi me jo sath ho to lage k saare ghum jese kho gye ho kahin. Ki jab lagta hai ki haar gyi hun sabse , wahi to hai jo mujhe khudme hi meri jeet dikhata hai. Haan rookha lagta hai kabhi kabhi magar surr to galtiyon se hi khoobsurat bante hain. Kho to mai bhi jaati hun usme , uske gale se lagna wesa hi meetha ehsaas deta hai jesa maano dheeme suron ko sunkar milta ho unche suron ki baat kuch alag hai , kum hi sunne ko milte hain. Han uska mujhse pyaar ka izhaar krna unhi unche suron ki tarah hai. Kachhe hain abhi sur uske , Mai sath dun to shayad ek khoobsurat geet ban jaaye. - Khushi Sangeet hi tarah hi to hai 🖤