"Ab us baath pe ikraar nahi aatha" Kisi shor ki khamoshi ko jathana nahi aatha Bin kahe ab ye baath pehchana nahi jatha Bas isi dauran mujhe ehsaas hua Ab us baath pe ikraar nahi aatha Kisi kitab ke panne ki tarah badalna nahi aatha Us panne ki kahani ko nibhana nahi aatha Chod diya hai palatna uss panno ko Ab us baath pe ikraar nahi aatha Bhatke hue raho pe chalne se musafir nahi kehlatha Na hi ab logon ke kuch kelane se musafir laut atha Chalne do use uss rah par, jo tumhe galath lage.Kyunki...... Ab us baath pe ikraar nahi aatha