Kya likhun... Jo us talak jate hi nahi wo alfaaz Kya likhun ruswa kiya jisne sda use humraz kya likhun Wo zuba pe aytbar kare to krun bayan kuch Khamoshi ki cheenkh-o-Aawaaz kya likhun Kuch yaad hi nahi siwaye uske chehre ke Main ab galtfehmiyon ka Aghaaz kya likhun Door se door tak nahi hun zindagi me uski Apni muhabbat ka ab Parwaaz kya likhun Muskurane ki wajah ho to baat alag hai wrna Ab afsana-e-muhabbat ko Nasaaz kya likhun Saare zamane ne suna hai qissa hijr ka Uske or mere darmiyan ab raaz kya likhun Na ho ska main uske khayalo ka shahjahan Mai la-hasil insaan use Mumtaaz kya likhun Maine Dekhi hai ishq ke maro ki mehfil irshad Ab khud ko mai tanhaiyo ka Sartaj kya likhun Its old but i like it..