Wo s s ka zmana tha jahan khushiyon ka khzana tha.. chahat thi padh kar top karne ki par dil toh games period ka deewana tha.. Wo Chaudhary sir ka daantna fir daant kar mnana tha.. Wo Sneh mam ka gussa gusse ke baad pyar se muskurana tha... Jokhu Uncle ka class mein aana chehre par chuttiyon ka chamak aa jaana tha.. Bus stop par aadhe ghante paihle jaana aur khelne mein time bitana tha wo bus wali masti khidki ki seat ke liye jhgda kar jaana tha.. Boring classes mein bell bajne ka intezaar karna aur achanak Sarita mam ka dance ke liye bulaana, maano kisi aladin ka khzana tha... Wo Raza sir ki class jismein maths se sar bhidhana tha par entertainment ka pitaara tha... Wo Archana mam ka pyar jisne hame sar par chdhaya tha.. Ratnesh sir ki class mein nind aana aur computer lab ke naam par nind ka gayab ho jaana tha... Shailendra sir ka geography pdhana, jo sabse alag aur sabse niraala tha Geography ke sath duniya ghumana fir bachpan ki kahaniyan sunana tha... Likhne baithu toh shayad baat puri na ho aur panne kam pad jaaye aisa hi kuch meethi yaadon ka fasaana tha... Kyun beet jaata hai waqt itni jald aaj dil rokar sawaal karta hai.. Koi to lauta de wo sabkuch firse kyunki sabse accha to wo s s ka zmana tha... #for_my_school_ssps❤ ~Shivani✍🏻 ©Shivanii A child's second home🌼 #myschool #myschoollife #myfirstlove ❤🌻