Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tu yaad karta nahi, aur mai bhi bhool jata hu Waqt

Tu yaad karta nahi, aur mai bhi bhool jata hu
Waqt par pade hai itne kaante, k waqt hi bhool jata hu
Zara si umr kya hui, dil ne ibadat chod di
Kehene laga, aab tak jo mila nahi, use bhool jata hu

Ek gaaon hai mera, mere sapno me
Chalo waha chalo, is jahan ko bhool jata hu

Kya rang hai tera, kya mahek hai meri
In sab k lalach me, teri khusi ko bhool jata hu

Badi bewafai se nibhaya tune, mere intezaar k pal ko
Aane wala to tha mai, par chal aab rasta bhool jata hu

Dur k desh me, aab pyaar nahi bacha
Saudegaaro k saher me, mai anko ko bhool jata hu

Kitna pagal dil hai mera, ise tumse pyaar hai
Raat me kabhi jo nind aa jaaye, to sawere sapne bhool jata hu

Badi mushkil se nibhaayi hai yaari zindagi ki
Kabhi tu haath nahi deti, to kabhi mai bhool jata hu #kahanidilki #umar #yaad