Nojoto: Largest Storytelling Platform

saajishe thi andhio ki suna kar denge chiraag, waf

saajishe thi andhio ki suna kar denge chiraag,
wafaaye thi baati ki,jalti rahi yuhi aag,

naa aandhi jhuka payi,na phunke bhuja paayi,
law asi uthi joro se ki chamak pade aaftaab,

kuch na kar paye andhere,ghera to unhone bhi charo aur se tha,
parwane jal jal kar bhadkaate rahe law,jal jal kar ho gye khaak,

ek jor se ek aur se,lehar bhi uthi vidroh ki,
shor utha ki roshni se chubti hai aankh,

wo fir bhi jalta raha,wo fir bhi roshni batta raha,
yeh taane,bahaane ko sunta raha chupchaap,

kon bhuja pata uske hausle ko,fir kisi apne ne hi daga di,
jis tel pe jinda tha,wo tel hi ho gya bhaap,

bhujh gayi fir law,andhiyo ne fir jashan manaya,
saajishe thi andhio ki suna kar denge chiraag.

     poem name - "ek diya"

#deepak #diya #lamp #light

namitraturi9359

Namit Raturi

New Creator