Nojoto: Largest Storytelling Platform

Yaadon ka Baksa... Aaj jaane kuch dhoondte - dhoo

Yaadon ka Baksa...

Aaj jaane kuch dhoondte - dhoondte us bakse se takra gaye,
Baksa jise kuch arso se chupaya hai,
Ji bada jalsaaz hai ye baksa, har dum khulne ki koshisho main,
Par hoon main bhi hoshiyaar, badi mushkilo se, keemti taale se isse band karaya hai.

Ab kya kahoon is bakse ke baare main,
Hai toh bada aam saa, purana, ab dhool aur jaalo main lipta hua, 
Par is aam se bakse main, maine chupaya hai kuch baaton ko, kuch khatti meethi yaadon ko.

Woh Meethi yaadein jo pal main hasa de,
Aur woh kuch itni khatti ki aankhon se aansoo chalka de,
Ab bina baksa kholay, kaise bataun isme kya kya samaya hai,
Kaise bataun ki shayad jeevan ka har sach jhoot isme dafnaya hai,
Lagta hai darr phir kholne se isse,
Ki naajane roobaro ho baithe kaunsi baaton se.

Ab lekin sochta hu dil ki is kashmakash ko suljha he doon,
Haseen yaadon ko milke gale laga loon,
Aur khatte yaado ko bhi apnakar zara muskura loon,
Kyunki jo bhi hai ye, jaisi bhi hai,
Ye meri apni yaadein hai, mere astitva ke baatein hai,
Is yaadon ko, in baaton ko phir apna loon,
Is bakse se taale ko hata loon. Yaadon ka Baksa.. Kuch kahe unkahe lamhe... #nojoto #nojotohindi #poetry #love #india #wordporn #thoughts #nojotoapp #writersofinstagram #nojotoofficial #instagram #wordsofwisdom #nojotopoetry #yourquote #writersofindia #poetsofindia #shayari #poetrycommunity #stories #mirakee #indianwriters #wordgasm #igpoets #hindi #quote #writeraofindia #inspirational #hindishayari #storytelling #bhfyp #poem #deep #memories #hindi