Nojoto: Largest Storytelling Platform

Har baar ek soch adhuri reh jaati hai, Aksar meri

Har baar ek soch adhuri reh jaati hai,

Aksar meri kahani adhuri reh jaati hai.

Kitni dafa murr murr ke dekha maine tere intezaar me,

Lekin tab tak zindagi puri ho jati hai.

Samundar se bhi gehre rishte ban jaate hain,

Lekin lehron ki bhi aisi gustakhi,

Ki ret pe likhi tumhari akhri wajood,

Wo bhi baha le jaati hai.

Har ek dagar pe chaha tha tumhara sath,

Itni si khwaish bhi adhuri reh jaati hai.

Abb to tumhara naam aur zikr bhi na sunu to,

Lagta hai jaise sansein adhuri reh jaaati hain.

Meri zindagi to ek khuli kitaab hai,

Khaali panno ko shabdon ki talaash hai,

Kahin behak na jaayein hum iss safar me,

Kyunki kahin na kahin abb bhi tumhari hame aas hai.

Rishte pata nhi kya mangte hain,

Hamari khwaish ki na koi qadar jante hain.

Zindagi to kabhi pyaari thi hi nhi,

Kambakht rishte naatein, sab bakwas ban jaate hain.

Zindagi ke is safar me fir kayi naye rishte ban jate hai,

Aur nibhane ki wajah ban jate hai,

Abb to sukun se jeene de hume koi,

Kyunki har koi choti si baat bhi bura maan jaate hain.

©Abhiketsrivastava. All rights reserved Kuch baatein adhuri reh jaati hai.
#munchkinpoet
#adhurikahani #OpenPoetry #poemoftheday #adhuribaatein

#abhiket

munchkinpoet6035

munchkinpoet

New Creator