Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kabhi kabhi log mujhe bohot hairaan karte hain Mai

Kabhi kabhi log mujhe bohot hairaan karte hain
Main jab bohot khush hoti hun toh wo pareshan dikhtey hain

Jo raasta unka main chunti nahi hu tab
Taanon bharey kaanton se mera guldaan bharte hain

Mohabbat bhi unki pasand se hi Mai Karu
Aise aise toh wo Apne hawaso pe gumaan rakhte hain

Jo kisi k sath hamdardi Mai karjau
Is bat se khafa mujhe badey nadaan lagte Hain

Mere khwabon k parindey se hasad karne Waley 
Khud Aasman me apni tamannao ki udaaan bharte hain

Mere toh wo sukoon k ghar ki eent bhi nah hila sake
Khud Apne mehlon me koi mehman lagte Hain
Kabhi kabhi log mujhe bohot hairaan karte hain kabhi kabhi log mujhe bohot hairan karte hain!