Dusro ko khush rakhte hue to khud ko bhool aaya, Is khokhle samaaj ki neev rakhte hue Tu khud ka ghar tod aaya, Jinke liye khoya tune khud ko, wo mile kya? Itna kuch khokar bhi tune kisi ke bhi gile shikve dur kiye kya? Reh jaate hai gile shikve, bus log chale jaate hai, dukh hai ki unke kareebi bhi iska karan na samajh paate hai! Gar puch lete to batata wo ki kitne toofan dil mein dabaye hai, Lekin yaha to har koi apni pareshaniya sunaye hai! Jaanta hu tu dil ka bht acha hai, Duniya jaisa chahe waisa khud ko badal leta hai, Lekin zara ruk, soch or puch khudse... Kya khudko khona zruri tha tere liye? Tu chala jayega lekin ye samaaj nakhush hi rahega tere se, To kya zaruri hai jeena is tarike se? ©Vishu Jain #sawaal