#OpenPoetry Maine ek daur ko Chalte dekha hai Maine lehar ko tsunami mein Badalte dekha hai Na jaane kaise tel ban gya Woh baarish ka paani Maine us chraag ko Jalte dekha hai Yun to ilaaka bohut barha hai In jinda logon ki nagri ka Magar sach maaniye maine yahaan Ek murde ko chalte dekha hai Woh jiski chamak dekh Kabhi muskuraya karta tha main Ab ho jaata hun udaas Usko dhalte dekha hai Kaliyon ko maali se jada Bhawre ache lagte the Aisa rootha maali Maine baag ujarte dekha hai Woh ab jab muskurata hai Woh baat najar nahi aati Maine uski aankh mein Ek jharne ko chalte dekha hai Naa jaane aaj kiyun Ruk nahi rahi meri kalam Maine uski cheekh ko Meri ghazal bante dekha hai #OpenPoetry