ab tak shikāyateñ haiñ dil-e-bad-nasīb se ik din kisī ko dekh liyā thā qarīb se aksar ba-zom-e-tark-e-mohabbat ḳhudā gavāh guzrā chalā gayā huuñ dayār-e-habīb se dast-e-ḳhizāñ ne baḌh ke vahīñ us ko chun liyā jo phuul gir gayā nigah-e-andalīb se ahl-e-sukūñ se khel na ai mauj-e-imbisāt ik din ulajh ke dekh kisī ġham-nasīb se na ahl-e-nāz ko bhī mile fursat-e-niyāz maiñ duur haT gayā jo vo guzre qarīb se ye kis ḳhatā pe ruuTh ga.ī chashm-e-iltifāt ye kab kā intiqām liyā mujh ġharīb se un ke baġhair bhī hai vahī zindagī kā daur hālāt-e-zindagī haiñ magar kuchh ajiib se samjhe hue the husn-e-azal jis ko ham 'shakīl' apnā hī aks-e-ruḳh nazar aayā qarīb se