apne hāthoñ kī lakīroñ meñ sajā le mujh ko maiñ huuñ terā tū nasīb apnā banā le mujh ko maiñ jo kāñTā huuñ to chal mujh se bachā kar dāman maiñ huuñ gar phuul to juuḌe meñ sajā le mujh ko tark-e-ulfat kī qasam bhī koī hotī hai qasam tū kabhī yaad to kar bhūlne vaale mujh ko mujh se tū pūchhne aayā hai vafā ke ma.anī ye tirī sāda-dilī maar na Daale mujh ko maiñ samundar bhī huuñ motī bhī huuñ ġhota-zan bhī koī bhī naam mirā le ke bulā le mujh ko tū ne dekhā nahīñ ā.īne se aage kuchh bhī ḳhud-parastī meñ kahīñ tū na gañvā le mujh ko bāñdh kar sañg-e-vafā kar diyā tū ne ġharqāb kaun aisā hai jo ab DhūñDh nikāle mujh ko ḳhud ko maiñ baañT na Dālūñ kahīñ dāman dāman kar diyā tū ne agar mere havāle mujh ko maiñ khule dar ke kisī ghar kā huuñ sāmāñ pyāre tū dabe-pāñv kabhī aa ke churā le mujh ko kal kī baat aur hai maiñ ab sā rahūñ yā na rahūñ jitnā jī chāhe tirā aaj satā le mujh ko baada phir baada hai maiñ zahr bhī pī jā.ūñ 'qatīl' shart ye hai koī bāñhoñ meñ sambhāle mujh