Nojoto: Largest Storytelling Platform

#ITEFAAQ# pal bhar k liye aana phir chale jana, i

#ITEFAAQ#

pal bhar k liye aana phir chale jana,
itefaaq nhi hota kisi ka jindagi me aana,
wo saath baith bunna baato ka taana- bana,
bina kahe ek dusre k alfaaz samjh jana,
ghanto ek dusre ki yaado mr bitana,
kabji majak me toh kabhi sach me satana,
wo care karne k liye gussa jatana,
ek ka ruthna dusre ka manana,
wo dosto ka uske naam se chidana,
apne rishte ko sabki najar se chupana,
wo aankho se kitna pyaar h keh jana,
ek dusre ki khushi k liye sab kuch seh jana,
wo ek dusre k bina na reh paana,
kuch is kadar ye rishta nibhana,
dekhte rehna har pal sapno ka afsana,
gaate jana har dam pyaar ka tarana,
phir kyu jaruri ho jata hai dur jana,
ek dusre ko itni takleef pauchana,
pyaar hote hue bhi mushkil kyu rishta nibhana,
itefaaq nhi hota kisi ka jindagi me aana

©writing nightingale #Exploration #iteefaqanpyaar0