na kabhi dekha, na kabhi socha, adhbudh y drishy h viraan h dharti, viraan h aasma,kesa y vishv h Dharm, Jaati, Bhoomi ke liy ladte y log ab kyu shant h sadak, gali, shaheen baag sb taraf ekant hi ekant h hoga intzaar sbhi ko aapda ke jane ka magar shanshy he muje Kisi ke aane ka ruki h Namaj, ruki h Ishwar bhakti jo dikhta Vishaanu matr h. magar jarur h koi ishwariya shakti wrna y to woh sadi nhi, jo gbraye aise aapda se sadi h gyan ki, sadi h vigyaan ki, jo ubhar aae har trasda se to lasho ke dher bichata kya h jo Adrashya h na badhti hinsa, na hote hum dhrmandh, lekin yhi humare kritya h shayad isiliy kr rha h sbkuch woh, magar fir bhi jo adrashy h na rha ab phle jesa, kuch aisa y vishv h na kabhi dekha, na kabhi socha, adhbudh y drishy h adbudh y drishy h.. - Priyanka Tiwari on current situation (Corona mhamaari)