Hota hai jaakar guruub tmhare hijaab me, Rehta hai jo mehtaab mere khwaab me. Lagega nahin koi daagh aala adaab me, Jo aao zulfein khol kar, mere khwaab me. ho itni bhi fazilat kabhi mere salaam me. Ho aise baat jaise ho mere khwaab me. Hogi nahi gustakhi koi tmhare ruaab me, Nazrein jhuka lunga main, mere khwaab me. Kyn ho koi talab-o-shauq is sharaab me Rehta hai tumhara suroor, mere khwaab me. Uljhan hai deedar, haqeeqat ke saraab me, Musalsal hai mulaqat, mere khwaab me. Nahin hai koi haqeeqat mere gumaan me, Ho tmse raabta, nahin fir kuch mere khwaab me. Apne raqeebon se suno tum, tmhare 'shahzad' me Yun to main hun hi tmhara, mere khwaab me. ©alfaze.ruuh #Dream Harlal Mahato Amita Tiwari