***Poetry *** ***KHAMOSH RAATEN *** " Kahne ko aur sun ne ko bahut Kuchh hota hai , Akshar ye jane ye raaten khamosh kyo ho jati hai , Dil se Lab tak aate - aate khamosh raaten kyo ho jati hai , Chanchal sa ye din mera akshar raaton me hi kyo simat ke rah jata hai , Kahne ko aur sun ne ko bahut kuchh hai , Dil se lab tak aate - aate khamosh raaten kyo ho jati hai , Teri udashi ko bahut gaur kia jo din me halchal machata hai , Sham hone se lekar raat tak khamoshi me lipat jata hai , Jane din ki ye koun si majbooriyaan hai raaton ki koun si gumnam khamoshi me doob jati hai , Dil se lab tak aate - aate khamosh raaten kyo ho jati hai ." Jane ye din ka koun raaz chhupaye baitha , akshar raaton ko khamosh raaten ho jati hai . " --- Rabindra Ram *** Poetry *** ***KHAMOSH RAATEN ***