Nojoto: Largest Storytelling Platform

Khizaan Ki Rut, Main Gulaab Lehja, Bana Ke Rakhna,

Khizaan Ki Rut,
Main Gulaab Lehja,
Bana Ke Rakhna,
Kamal Yeh Hai...
 
Khizaan Ki Rut,
Main Gulaab Lehja,
Bana Ke Rakhna,
Kamal Yeh Hai...

Hawa Ki Zad
Main,
Diya Jalana,
Jala Ke Rakhna
Kamal Yeh Hai...

Zara Si Larzish pe, 
Tod dete hain,
sab talluq, zamane walay,
So, aesay waeson se bhi, 
talluq bana ke rakhna,
kamal yeh hai....

Kisi ko dena, 
yeh mashwara ke, 
wo dukh bichadne ka bhool jaye
Aur aesay lamho main,
apne aansu,
chupa k rakhna, 
kamal ye hai...

Qaual apna, 
mizaj apna,
pasand apni, 
kamal kya hai..?
Jo yar chahay, 
wo haal apna, 
bana k rakhna,
kamal ye hai....

Kisi ki rah se, 
khuda ki khatir, 
utha k kante, 
hata ke pathar,
Phir us ke agay ,
nigah apni, 
jhuka k rakhna,
kamal ye hai...

Woh jis ko dekhe, 
to dukh ka lashkar bhi, 
ladkhadaye, shikast khaye..
Labon pe apne,
woh muskurahat,
saja k rakhna, 
kamal ye hai...

Hazaar Taqaat ho,
sau daleelan hon, 
phir bhi lehje main aajzi se,
Adab ki lazzat, 
dua ki khusbu 
basa k rakhna
kamal yeh hai...
Khizaan Ki Rut,
Main Gulaab Lehja,
Bana Ke Rakhna,
Kamal Yeh Hai...
 
Khizaan Ki Rut,
Main Gulaab Lehja,
Bana Ke Rakhna,
Kamal Yeh Hai...

Hawa Ki Zad
Main,
Diya Jalana,
Jala Ke Rakhna
Kamal Yeh Hai...

Zara Si Larzish pe, 
Tod dete hain,
sab talluq, zamane walay,
So, aesay waeson se bhi, 
talluq bana ke rakhna,
kamal yeh hai....

Kisi ko dena, 
yeh mashwara ke, 
wo dukh bichadne ka bhool jaye
Aur aesay lamho main,
apne aansu,
chupa k rakhna, 
kamal ye hai...

Qaual apna, 
mizaj apna,
pasand apni, 
kamal kya hai..?
Jo yar chahay, 
wo haal apna, 
bana k rakhna,
kamal ye hai....

Kisi ki rah se, 
khuda ki khatir, 
utha k kante, 
hata ke pathar,
Phir us ke agay ,
nigah apni, 
jhuka k rakhna,
kamal ye hai...

Woh jis ko dekhe, 
to dukh ka lashkar bhi, 
ladkhadaye, shikast khaye..
Labon pe apne,
woh muskurahat,
saja k rakhna, 
kamal ye hai...

Hazaar Taqaat ho,
sau daleelan hon, 
phir bhi lehje main aajzi se,
Adab ki lazzat, 
dua ki khusbu 
basa k rakhna
kamal yeh hai...