Mustaqbil ki khairyat Ka ek khyal hun Pathar sino me jakhm Kar jaun wo talwar hun Julm ki aandhiyon ke liye ek majbut diwar hun Aane wale din ka ek behtar khwab hun HAA MAI SHAHIN BAGH HUN HAA MAI SHAHIN BAGH HUN Nar Nahi nari hun par bemishal hun Zalimo ke liye purzor inquilab hun Na haq sawalon Ke Sare jawab hun Hindustan ki tehzib ki ek zinda misal hun HAA MAI SHAHIN BAGH HUN HAA MAI SHAHIN BAGH HUN Bachpan hun budhapa hun jawani hun Har zulm ki sulagti huyi ek kahani hun Beh jaun to samandar thehru to dariya hun Apni mustaqbil sanwarne Ka zariya hun Ekta ki geet ki suljhi huyi raag hun HAA MAI SHAHIN BAGH HUN HAA MAI SHAHIN BAGH HUN Jo bantna chahte h is chaman ko Usi chaman Ka ek mehakta gulab hun Jo failaye h zulm ne shole is Pak mulk me Un sholon ko bujha dun wo aab hun Chhod Kar jaun kese apne aaba o ajdaad ko Mil jaungi do gaz ki khak pe wahi khak hun HAA MAI SHAHIN BAGH HUN HAA MAI SHAHIN BAGH HUN Bikahar jaungi phir bhi mulk me zor de jaungi Har Gali har muhalle me haq ki shor de jaungi Jo siasat me h unka Taj marod jaungi Sambhal na paye aisa current chhod jaungi Ehtejazon se uthne wali wahi mang hun HAA MAI SHAHIN BAGH HUN HAA MAI SHAHIN BAGH HUN Haa mai shaheen hun.. #no_caa #no_npr #shaheen_bagh #constitution #delhi_shahin