mere pyar kuch aisa hai mujhe na ..........kabhi mere kitab se na koi fool mila na kabhi koi aisi chitti mili ho jisme dhool padi ho na kabhi koi aisi cheez jo mujhe usne khud apne hatho se di ho jise dekh kar meri aur uske beech gujre hue waqt ki yaad dilaye kyuki tab mera pyar dooriyo ka gulam tha waqt ki kashish thi shyd ki wo hume aik doosre se door karke rakha tha lekin fir bhi hum kareeb rahte the kyuki humare time tak internet naam ki subidha ijaad ho chuka tha aur kafi common ho chuka tha internet se video calling badi hi asan ho jati thi jisse log door to hote lekin aik doosre ko dekh to sakte the paas bhale hi na ho lekin aik doosre ko mahsoos to kar sakte phir na jane aik din aisa aya wo pal wo chahat wo pyar kaha kho gaya pahle to sirf kilometer jaise tha fasla magar ab to raste hi bhatak gaye manjile bhi humari aik doosre se alag ho gaye fasle ne ab najdikiya badha li humse aur na jane humara wo 24 hr phone me sath rahne wala pyar na jane kaha kho gaya us waqt jo dil aik se the ab dono ke do alag hisse ho gaye wo humse aur hum unse itne door ho gaye ki chah kar bhi ab kabhi nai mil payenge is duniya ki bheed me na jane humara pyar kaha kho gaya ki ab umeed bhi na rahi ki shyad wo purana pyar fir se doobara hoga fir se wahi din bhar baate aur fir rato ko jagrate honge na ab pahle ki tarah uski fikr rahegi na uska khyal satayega par phir bhi dil ke kisi kone me uska ahsaas kahi na kahi rah jayega pahla pyar hai wo mera bhala aise kaise bhula dia jayega lekin ab yakeen hai uska jikr bas yado me hi rah jayega shayad hi kabhi uska naam fir juban par ayega na jane kyu mera pyar kuch aisa hai aur aisa hi rah jayega #poetry and story mashup