Aaj Dil Mein Ek khayal aaya.... Dophar ka tang haal jehen mein laya..... Aksar dekha or padha hai mene kavitaon Mein subah, sham or Raat ka jikr hai aajmaya gya.... Fir socha ki ku na aaj dophar ka jikr kavitaon Mein laya jaye.... To Baat ese hai... Meri dophar, subah sham or Raat Se kai behtar hoti hai... Y dophar Mein kisi k khayalon Mein nhi bitati balki dining table par apne apno k sath bitati hu.... Y dophar Mein sapne dekhne hue nhi balki unhe sach krte hue bitati hu..... Y jo dophar hai na..... Y jo dophar hain na vo jeevan ki vastvikta se mera parichay krati hai... Ki ek sangharsh ke Baad is jeevan ko bhi dophar ki tarah hi dhal jana hai.. Or zindagi ki bhi sham ho jani hai....... Y dophar mujhe kai logo se milati hai... Ki is safar Mein m akeli nhi hu bhut log h mere sath par kuch ese jese ki rail k dibbe Mein baithe musafir unki manzil tak hmare sathi hote hai or fir vo chle jate hai.... Y jo dophar h na vo mujhe bhut kuch dikhati hai or har mod par ek nayi seekh de jati hai....... Mere din bhar ka sabse acha samay hoti hai kunki isme mujhe logo ki achaii buraii ko parakhne ka samay nhi hota... M to bas is samay khud ko tarashne Mein bitati hu........ Dophar........ #NojotoQuote dophar ka khyal #dophar #nojotoquotes #NojotoVoice #poem #kavita Arun Raina