Nojoto: Largest Storytelling Platform

Sach ko kabhi bhi dabayaa nahi jaata Or jhut ko Ji

Sach ko kabhi bhi dabayaa nahi jaata
Or jhut ko Jitna chaho chupaaya nahi jaata. 
Kitni bhi koshishe karle insaan yaha, 
Haq ko  kisi surat me haraaya nahi jaata.
Tum kehti thi ke meri Jaan Ho tum? 
Tum kya jaano pyaar is tarah jataya nahi jaata.
Or wo waade wo qasme bhi bhuul gayi?
Pyaar is tarah to nibhaya nahi jaata?
Dosti karke muhabbat ki thi mujhse tumne, 
Dushmani me bhi kisi ko itna rulaaya nahi jaata. 
Has ke Chalti thi mere saath sath tum apne ghar tak, 
Ishq ki raah me kisiko itna chalaya nahi jaata. 
Mujhse puchti thi tum wafa ke maane, 
Bewaquuf itna kisiko banaya nahi jaata. 
Ab kisi or se kar baithi ho nikaah apna, 
Zindagi is tarah to chalaya nahi jaata. 
Mere jaisa tumhe ek na milega umr bhar, 
Mujhse jafa karke yu Bewafai ko sajaya nahi jaata. 
Mismaar ho chuki hai ab meri  chahate. 
'Sayyed' ko kisi se ab dil lagaya nahi jaata. 

 #yqbaba #yqghazal #yqdidi #yqdada #yqbhaijan #yqbewafa #yqquotes

kaderistore9761

Abid

New Creator