Kash Zindagi sach much Kitaab Hoti Padh sakta mai ki Aage kya hoga..?? kya paunga mai aur kya dil khoyega..?? Kab thodi khushi milegi , kab dil royega.? Kash zindagi sachmuch kitaab hoti Faad sakta mai un Lamhoo ko jinhone mujhe rulaya hai Jodta kuch panne jinki Yadoo ne mujhe hasaya hai.. Hisaab to laga pata kitna khoya aur kitna paya hai.. Kash zindagi sachmuch kitaab hoti.. Waqt se aankhe churake piche laut jata Tute sapno ko firse armano se sajata kuch palo k liye mai b muskirata kash zindagi sachmuch kitaab hoti..