baḌh rahī hai dil kī dhaḌkan āñdhiyoñ dhīre chalo phir koī TuuTe na darpan āñdhiyoñ dhīre chalo ye chaman saarā kā saarā āj-kal ḳhatre meñ hai har taraf hai aag dushman āñdhiyoñ dhīre chalo ek yug ke ba.ad bādal kā nayā āñchal milā ḳhush bahut hai aaj sāvan āñdhiyoñ dhīre chalo likh rahī hai ḳhushbuoñ ko ḳhat kamal kī pañkhuḌī khil uThā hai jhiil kā man āñdhiyoñ āñdhiyoñ dhīre chalo saarī sāñseñ āñdhiyāñ haiñ aur maiñ murthal kī ret aur baḌh jaatī hai uljhan āñdhiyoñ dhīre chalo saath in pachhuā havāoñ kā bahut achchhā nahīñ kah rahā purvā.ī kā man āñdhiyoñ dhīre chalo jag ga.e to zahr bhar deñge fazāoñ meñ 'kuñvar' khul na jaa.eñ saañp ke phan āñdhiyoñ dhīre chalo ye jo phūloñ kā nagar thā is meñ hī kāñToñ se ab bhar gayā har ek āñgan āñdhiyoñ dhīre chalo #KunwarBechain ©Sarfaraz Hussain #kumwarBechain #fullmoon