Ek lamba safar aur raste me mera ghar Chal pada tha mai apne bachpan ke gaon Dil me bachpan ki shararten aur mehbub ki yaaden Sab samet kar mai chal pada apne bachpan ke gaon Jab pahuncha to dekh un viran galiyon ko seham utha mera dil Kyu ki ab shayad wo baat nhi rahi mere gaon me in din Jin dosto ke sath mai dinbhar yaden jutaya karta tha Unhe dekha maine aaj jindagi ka hisab-kitab sametate Tamanna fir milne ki mere pyar se kuchh is kadar badh si gayi Ki use khojne mere paav teji se chale aur dhadkan jor se badh gayi Jab pahucha un galiyon me jaha hum aksar bachpan me mila karte the Na dekh use tadpa bahot dil aur najren bas use hi dhundhne lage Badi shiddat se chaha use par kabhi ijhar na kiya Bss isi galti ne use kisi aur ki bahon me kar diya Waha ruk kr muzhe uski yaden aur bhi satane lagi Bs isi wajah se laut aaya mai apne bachpan ke gaon se wo gaon ki yaden #feelingsad #nojotowritting #missthosedays #likeforlike