Bachpan bhi kya zamana tha Khushiyon ka khazana tha Chahat chaand ko pane ki thi Pr dil titli ka deewana tha... Khabar na thi kch subah ki Na shaam ka thikana tha Thak kr aana tha school se Par khelne bhi jaana tha... Maa ki kahaniya thi Pariyon ka fasana tha Barish me kagaz ki nav thi Har mousam suhana tha... Har khel me saathi the Har rishta nibhana tha Rone ki wajah na thi Na tha hasne ka bahana... Kyu ho gye hum itne bde Isse acha toh vo bachpan ka zamana tha... ©Shruti Gupta bachpan bhi kya zamana tha