Fiza-e-saher lag rahi hai ab purfitan, chalo aek naya ghar dhundha jaaye. Bahot ho gaya zindagi ka rabt qarb se, chalo ab tasalli se hi jiyaa jaaye. Ho gaye hai qaba bhi mele apne karam se, chalo naya libas hi banaya jaaye. Jin daricho ki ki thi hamne kabhi marammat, chalo aaj unka bhi hisaab liyaa jaaye. chalte chalte pade huae aablo ko Manzil pe nahi, Raaho me hi geenaa jaaye. mukammal hai har aek khalq apne aap me, chalo ab nakamo ki basti me hi rahaa jaaye. Teg - o- teer baazi ka hunar hame bhi hai malum, bs bahot ho gaya ab, Adavat ki iss jung ko qalam hi se ladaa jaaye. Bahot ho gayi ab kirdaar saazi adna, Chalo ab khud ka bhi istihaar nikala jaaye. Fiza-e-saher : Saher ki hawa karb : dukh qaba : kapde purfitan : hangame wala, fitno wala khalq : creation teg : talwaar teer : teer istihaar : Advertised