Nojoto: Largest Storytelling Platform

Mard ko dard nahi hota! Mard hai tu, kyu rota ha

Mard ko dard nahi hota!


Mard hai tu, kyu rota hai,
Aanshu kyu tera behta hai,
Ye duniya tujhko dhitkaaregi,
Tujhko kamzor banayegi,
Are mard hai tu, kyu rota hai,
Kyu darr ko apne bota hai,
Dard-e-sitam tujhe sehna hai,
Tu mard hai, Tujhko na rona hai,

Mai mana ki mai mard sahi,
Kya mujhko koi dard nahi,
Are insan to mai bhi sab jaisa hu,
Kya mujhko rone ka haq bhi nahi,
Mai kyu aansu apna pita rahu,
ghoot ghoot kr har dam jita rahu,
Ab koi na bataye hame ki,
Mard ko dard na hota hai...

©F K
  #yqbaba #yqshayari #yqdard #yqmard #yqrealityoflife #yqdidi #yqdiary #yqhindi #yqhindishayari #yqhindiurdu