Nojoto: Largest Storytelling Platform
atrocityindefati1588
  • 15Stories
  • 12.2KFollowers
  • 810Love
    0Views

ATROCITY (Indefatigable)

I am a Medicore. Living in Guwahati

  • Popular
  • Latest
  • Video
0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Her inexistence make me soulless but the memories that I have the moment I lived along with her is keeping me alive #some stories touch your heart some might touch your soul

#Some stories touch your heart some might touch your soul #poem

0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Chand alfazon ko jodke maine tera naam likha hai.
Yaad rakhna ki apno se kahi door maine apna inteqaam likha hai. #kuch alfaaz tere naam ko

#Kuch alfaaz tere naam ko #story

0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Haar ne ka tajurba jyada hai bas jeet ne ki koshish ab bhi jaari hai.
Yaad rakhna har baar hara hoon iska yeh matlab nahi ki iss baar bhi haaronga.
Chalo haar bhi gaya toh koi baat nahi kuch iss haar se seekh ke jaunga.
Aur ha, par jeet ke liye ladna nahi chodunga.
Kyun ki jeet tajurbein se ho behtar hai nasseb se toh sara sansaar aas lagayein baitha hai.
Har baar harta hoon toh meri antar atma mere dil ko kehta hai chup hoja  sale tere andar toh mehnaat aur jeet ka bawandar rehta hai.
Jis din bawandar ubharke ayega teri nakamyabi ka saya ko dakh ke teri mehanat ka raang layega.
Bas haar ne ka tajurba jyada hai par jeetne ki koshish ab bhi jaari hai.
0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Shuruwat mein tinkein se karunga chingari banke.
Raakh ka sehlaab launga aag banke.

0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Qismat se bhi ladlu uske liye koi baat nahi.
Tujhe yaad karkein kitne din ginne hai mujhe kuch yaad nahi.
Tu mujse russ gai hai mujhe koi faryaad nahi.
Par girke uthna chaha hath thamke uthane ke liye tu saath nahi.
Chal koi baat nahi.

0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Khudse nahi auro se juda pata hoon.
Kai  rahon mein khudko gumshuda pata hoon.
Iradein naek hai hosle buland hai par naseeb saath nahi.
Lekin peeth piche kehne wale bahut log hai jo kehtein hai meri baski baat nahi. #baskibaatnahi
0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Raste jo chal pada hai wahi se hai pal.
Bhid mein kyun khada hai tu, waha se nikal.
Nazre kyun jhuka raha hai, tu kahi thaher.
Teri hi zid hai kyun yeh tu toh ek dhoopp hai.
Doob jayega tu aaj kal phir tera sunhera roop hai.
Koi aag nahi hai tere jaisa, kai log iss pe jal jayega.
Tu zindagi dede apni roshni se tu toh yaha phir ayega.
Bharosa nahi hai  khud par toh sikhle karna yakeen.
Takaluff nahi hai yaha kuch bhi rakh hosle sangeen.
Zindagi choti hai lekin karja usse rangeen.

0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Un yaadon ko apne hi aap mein taza rakhne ki koshish mein Ghau kar jata hoon.
Jism mein gardhe auzar ko rooh tak paucha ta hoon.
Dard ke aalam mein khud se jyada  maut ko karib pata hoon.
Kuch baki nahi dekhne ko zindagi mein bas maut ki farmaan kar pata hoon.
Zindagi mein sahi aur galat mein chunne ki mauhlat mein, meri rooh ko mein apni hi marzi se sarre aam nilam karta hoon.
Khudki zindagi se kisi aur ko chot na pauche har kadam darta hoon 
Mushkil jitni bhi ho par  har bar mein hosle  tootne tak imandari se ladta hoon #hauslein
0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Teri jo  khwasish poori nahi hui, uske liye koodna zaroori tha.
Teri har baatein jo kisi ko muskurana sikha deti thi, aaj woh hi khamoshi mein betha apne hi andar uljha hua.
Kisi ko na keh pana iske liye, kya koodna zaroori tha.
Tu toh bachpan se kam bolta tha, paar aaj kal teri insecurities ne tujhe achanak batuni bana diya ho, phir bhi tujhe kisi ne jhak ke pucha nahi  kya hua.
Kya iske liye koodna zaroori tha.
Jis ko tu maa papa jaisa pyaar karta ho aur achanak se woh guzarne ka khabar aye.
Kya iske liye koodna zaroori tha.
Tu jis dost  ke mussibat ke waqt datke khada tha aur usine tujhe dhoka diya ho.
Uske liye kya koodna zaroori tha.
Jis saapne tu apne liye nahi kisi aur ki zindagi banane ke liye mahant kar raha ho, aur tu abhi tak sapno se koso door khada ho.
Kya uske liye koodna zaroori tha.
Tu haar ke gir ke phir khada hogaya tha. Tu phir se gir gaya toh tujhe koodna zaroori tha.
Teri muskaan ko parakh ne wale teri dard ko na dekh pana.
Uke liye kya tujhe koodna zaroori tha.
Teri khwaab jo dheere dheere tutne lage, jis din tu khud ko kosne lage phir khudko sambhal na paya ho.
Koi bagal mein nahi jisko bata sake.
Kya Iss ke liye tujhe koodna zaroori tha.
Uss uchai ki soch rakhne wala kisi khai mein jism jhok ne ki naubat aye.
Kya tujhe koodna zaroori tha #koodna
0bcc80f914e4a628a0725bfeb23e4b4b

ATROCITY (Indefatigable)

Sabdho ka baand nahi, hoton pe muskaan lata hoon.
Logo ki inayat ki jagah, khudh hi ko  khoya pata hoon.
Iss sardh zaami mein kuch kabr khodhe the.
Kisi din mujhe dhund ne se na mile toh samaj lena, mein is dharti ke niche samaya hoon. #
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile